Sunday, June 11, 2006

Kyo Chal rahe hai NEWS CHANNEL!

Article in Roman Language(Hindi)

Ise kya kahenge, kam kapdo me nache gane wali Rakhi Sawant har doosre din tamam news channlo par najar aati hai, kabhi kam kapdo par hue vivad ke karan, kabi chuma chati ke liye! Kya ye masla itna mahatvapurna hai ki tamam TV channel ise tavajjo de! Kya darshak is hetu news channelo ko dekhe.

Ravivar(11/6/06) ke din ki shuraut hi is masle se hue ki 'mika' naam ke ek Punjabi gayak ke janmdin ke party me usne rakhi sawant ko jabardasti kiss kiya ya nahi! Hay re patrakarita, kya is dristi ko lekar ye channel chalane vale hame khabar de rahe hai. Film nirmata kehte hain ki janta nagnta dekhna chahti hai, so hum dikha rahe hain, kya tv news channel bhi yehi tark denge!

Poore bharat aur world ke kuch desh in channelo ko dekh rahe hain. Kya chavi jayegi? kya socha jayega? kabhi bharat ka sach goan, bailgadi aur sapere(village, bullockcart and snakecharmer ) hua karte the, aj badan dikhau log aur remix culture hi pehchan banti najar aati hai. Kaun jimmedar lagta hain? .Bilashak 'darshak' aur 'bazaar'.

Darshak ne samvedna kho di, jo bhi dikhaya ja raha hai use vo kubool kar raha hai, vanhi bazaar ko utpaad bechna hai, isliye har khabar me endorsemsnt ki boo aati hai. Isi beech me ek manak hai TRP. Ye shabd aur iske mayane itne prabhavi hai ki har channel ke iske samne sab mulya aur moral bekar.Yani kahi na kahi revenue ki majboori hai!

Par kya is sabke chalte kisi peshe ke swaroop badal gaya hai! Kya marketing ne utpad bechna band kar diya hai, isi tarah patrakarita ka mool udeshaya kahan hain? Kaun tey karega kya dikhaya jaye, kya nahi? Kya darshak kabhi is stithi me hoga ki vo virodh kar sakega, ki isse hamare mulya nast ho rahe hain. Jahir hai jaroorat aan padi hai ki darshak aur prasarak ke beech 'pardarshita' aur 'sampark' khula hona chaiye. Jawabdehi tey honi chaiye. Kyonki agar ap apne labh ke liye koi upkram chala rahe hain to bhi, labh ka hakh apke parivar ko milna chaiye, channel wale kya labh me hai? Sawal ye hai!

Soochak
soochak@gmail.com

3 comments:

Anonymous said...

pls write in English only.

Anonymous said...

क्यों चल रहा है ये ब्लॉग??? कैसे कैसे लोग इस पर उलटी करते हैं। ये वाला लेख तो सही लगा, लेकिन बाकी सब इतना कचरा क्यों भर रखा है। मीडिया युग.... इतना बढ़िया नाम ले रखा है। इसे बढ़िया जरिया बनाया जा सकता है मीडिया के बारे में बातचीत के लिए। वरना कुछ थके थकाए पत्रकारों की आउटडेटेड बौद्धिकता झाड़ने का मंच बन जाएगा ये भी।

Anonymous said...

Blogs un logo ke liye ek achha platform hai jinaki qalam me talent hote hue bhi koi akhabaar unako mahattaw nahi deta hai. Lekin kya kare? yaha bhi kucchh frustated log apani frustation nikalane lag jaate hai.Shayad sab log yahi sochate hai ki ye to blog hai lekh badiya ho ia ghatiya yaha to chhap hi jaayega. lekin Mediyayug ke sammananiya sampadako ko ye sochana chahiye ki is blog par achhe aur shasakt lekh hi aaye logo ki frustation nahi.jaise Hafta guzra tv par. kabhi kabhi ye lekh itana ghatiya hota hai ki yaqin hi nahi hota ki isaka lekhak ek telented patrkar hai Janmat ka.eisa lagata hai ki bas koram pura karane ke liye likh diya gaya hai ya bas likhane ke liye likh diya gaya hai. In sab chizo se bachana chahiye