Ye ek ajeeb sa samai hai! Is daur ki kya baat karen. Udayan SharmaFoundation vikas patrakarita ke liye journalists aur photo journalists ko puraskrit karta hai. Iska bada aayojan hota hai. Mantari se santari tak sab bulaye jate hain. Sabhi formalities ka dhyan rakkha jata hai aur jin chune hue patrakaron ko puraskar diya jata hai unkanaam na to kabhi suna gaya hai aur na hi unka likha kuch kabhi padha hai. Kuch baras pahle sahitya main puraskaron ki rajneeti par sawal uthaye gaye the per aaj lagta hai ki bhang to kunew main hi padi hai. Aaj main phir bahut ashcharya main huin ki ye kya ho raha hai. Magar main kyon ashcharya main huin!
Chandigarh ki HIV workshop main surendra singla ne udayan sharma foundation ko ek lakh ki madad dene ki baat kahi hi thi. Par uska asar itani jaldi dikhai dega ……! Aur us per mazedar baat ye hai ki isi programme main is patrakarita ki natkiyata per bahas bhi hoti hai. Log electronic media ke girte naitikta per charcha bhi karte hain. Iska bhi zikra uthata hai ki samay ke badalne ke sath hi ye saari cheezen badal gayi hain kyonki ab waise log patrkarita main nahin aate…jo aate hain unko thaharne nahin diyajata hai. Lekin jab Alok Tomar us tarah ki baat karte hain to unka thikana jail hota hai. Kya baat hai ki is patrakar samaj ko AlokTomar ko jail se bahar nikalne ka dhyan nahin aata na hi koi unke saath khada hota hai seedhe seedhe. Satta ke aatank ne logon ko itana atankit kar rakha hi ki ab log sach bolne se darne lage hai aur hame expression ke liye blogs ka sahara lena padata hai. Koi hamare swar ko isthan dene ko taiyar nahin hai. Darasal kami waise logon ki nahin hai jo himmat se sach kah saken….kami un logo ne ki hai jinme sach ko sunane ki himmat nahi hai.
Sarkar loktantra ke chauthe paaye par pahara lagane ki taiyari kar rahi hai aur hum sach kahne ke liye inam baanth rahe hain. Is bandarbaant main kiska faida hone wala hai? Ye kis prakar ke lekhan ke liye puraskar diye jaa rahe hain? Kya ye hamari nazar kahin chook rahi hai, kahin seemit ho rahi hai ya hum kisi ek kone se dekh rahe hain ki hame sara kuch dikhai nahin de raha hai. Yahan is charcha ke beech kuch baatein jo kuch alag si hain magar kahani zaroori lagti hain.
Ek to ye ki is prakar ki charchayen hamesha hi bina kisi sarthak parinaam per pahunche khatma ho jati hain. Inke aant me bas karyakrim ke sampann hone ki ghoshana ki jaati hai aur atithiyon ka aabhar prakat kiya jata hai. Halanki bahut se sarthak sawal samne aaye maslan akhir kitane audience ki pasand par TRP rating ki jati hai? Ek arab se upar ki janata ke beech 10 hazar channels hain aurTRP rating ke meetar 5000, to kis aadhar per ye kaha jata hai ki audience Mika aur Rakhi sawant ya kareena aur shahid ke love scene, sting operations ki ashaleelata ko dekhana pasand karti hai ya proffesor matuknath ki prem gatha ko. Ya who kisano ki suside ki charcha ko pasand nahi karti.
Rahul Dev ne ek sarthak sawal yeh bhi uthaya ki is tarah ki charchaoin mein sirf journalists aur editorial department hi shamil hota hai. Use chalane wale mukhya tatva channel ke malik ya marketing ke log nahi. Vo is tarah ki baudhik bahson main shamil nahin hote, unke pass waqt nahin hota. Aur ye sara kuch bazar ka chakkar hai. Khabar bhi bazar hi nirdharit karta hai. So wahi dhak ke teen paat. Darsaal ab sari vyastha bazar se hi nirdharit hoti hai. To usase khabren achooti kaise rah sakti hain, lekin yahan ek sawal phir uthata hai; udayan sharma faoundation jaisi sansthayen jo vikas ki khabron ke liye puraskar deti hai aur jo unka chunav karte hain vo log , vo mahan gyani log 'google world' jaisi khabron per puraskar kaise de detehain jo sahaz hi internet per uplabdh ho jati hain. Akhir vikas ki khabron ke kya mayne hain?
Kya vastav main ye puraskar unhi ko mil rahe hain jo iske asali haqdar hain ya hamari nazar kahin chook rahi hai, kahin seemit ho rahi hai ya hum kisi ek kone se dekh rahe hain ki hame sara kuch dikhai nahin de raha hai.Yahan is charcha ke beech kuch baatein jo kuch alag si hain magar kahani zaroori lagti hain. Kyon adivasi, dalit aur aurat ki asali kahani ki baat karne walon ki qalam ka pakshdhar nahin dikhai deta hai? Akhir ye majara kya hai ? kya voh sare log bhi bazar ke age ghutane tak chuke hain jinke kandhon per wyavastha se ladane ka zimma hai?
Swadha
anujaashukla@gmail.com
Send your write-ups on any media on "mediayug@gmail.com"
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
5 comments:
पढ़ना शुरु किया तो बात दिलचस्प लगी पर इस तरह अँग्रेज़ी में लिखी हिंदी पढ़ना जल्दी थका देता है, पूरा पढ़ा नहीं गया. कृपया देवनागरी लिपी में लिखने की कोशिश कीजिये!
आपके विचार बहुत ही सार्थक और समयानुकूल लगे। लेकिन इसको देवनागरी मे लिखते तो पढ़ने में इतनी तकलीफ नही होती। और कठिनाई भी क्या है? आपने किसी रोमन ट्रान्सलिटरेशन एडिटर का उपयोग किया होता तो लगभग यही रोमन टाइपिंग देवनागरी में होती।
Priya Saathi,
Though it is very true whatever you said but this is some technical problem and I am unable to help it.I can explain myself better in hindi. I can write in hindi. Iwant to write in devnagriBut this is the problem of keyboard what we don't have and I also don't know the use of that. So please bear it with us. I am thankful to you to see and post acomment on it.can write also on morningpole@gmail.com
Swadha
Please check out this page.
Here one can type in english which gets transliterated to hindi
कृपया इस पेज का प्रयोग करें http://www.google.com/transliterate/indic
Attorney and Law Firm Information and Directory. Find Legal Information, Laws and local Attorneys.
Post a Comment